God We Made You Angry! (Urdu)

Category: Featured, Life & Society, Videos Topics: Nasheed, Pandemic Views: 1045
1045

Urdu Nasheed by Sohail Quadri, written by Zahid Hussain & Khalid Mahmoud

Khuda Naraz Kar Baithe - Ye Hum Sab Kya Kar Baithe 
(God we made you angry - What have we all done?)

Khuda Naraz Kar Baythay Ye Hum Sab Kyaa-Aaa Kar Baythay
Bhot Parwaaz Kar Baythay, Khuda Naraaz Kar Baythay

Bhot Masroof Rahte Thay, Hawaoon Par Hakumaat Thi
Takaboor Thaaa Ke Taqat Thi, Bala Ki Badeshahee Thi
Subhi Masrooof Thay Aysay, Ke Ek Haasti Bhoola Baythay
Bhot Parwaaz Kar Baythay, Khuda Naraaz Kar Baythay

Magan Thay Apni Duniya May, Sabhi Bay-Khof Rahtay Thay
Teri Haasti Bholaa Kar Hum, Sabhi Khaamosh Baythay Thay
Koi Bay Fikr Baytha Tha, Koi Masroof-E-Sazish Tha
Koi Taqtoon Pay Baytha Tha, Koi Dolat Ka Pyasa Tha
Koi Khabooon May Rahta Tha, Koi Maazeee May Bhatka Tha
Koi Tadbeeeer Karta Tha, Koi Tasqeeer Karta Tha
Ke Zulmat Raaj Karti Thi, Khuda Khamosh Baytha Tha
Koi Aansoo Na Chalka Tha, Kisi Ka Dill Na-Tadpaa Tha
Phir Ek Aysee Waba Pahylee, Fizooo Aur Hawaooon May
Sabhi Kuch Tham Gaya Malik, Teri Kalkhay Khudaee May

Ab Usnay Moo Jo Phayra Hai, Faqat Wahshat Ka Dayra Hai
Ke Duniya Ki Har Ek Baasti, Bhayaanak Mout Chara Hai
Khuda Moo Phayer Baytha Hai, Abb Uska Ghar Bhi Khali Hai
Khuda Naraaz Baytha Hai, Kahar Duniya Pey Tari Hai
Abhi Bhi Waaqt Hai Logo, Khuda Se Gid-Gida Ke Tum
Usay Razi Karo Logo, Khudi Apni Mitake Tum
Abhi Bhi Waaqt Hai Logo, Khuda Razi Karo Logo
Abhi Tauba Karo Logo, Nigahaeen Nam Karo Logo
Wo Jaldi Maan Jata Hai, Wo Abhi Tum Ko Cahta Hai
Wo Abhi Tum Ko Cahta Hai, Wo Abhi Tum Ko Cahta Hai
Sitam Humne Kiya Khud Par, Raham Tum Nay Hi Karna Hai
Ye Hum Iqraar Karte Hain, Ye Hum Fariyaad Kartay Hai

Humay Bhi Baaqsh De Yaa Rab, Tujhi Se Aaas Rakhte Hai
Hamay Maalooom Hai Ya Rab, Tu Abb Bhi Hum Ko Cahta Hai
Khuda Naraz Kar Baythay Ye Hum Sab Kyaa-Aaa Kar Baythay
Bhot Parwaaz Kar Baythay, Khuda Naraaz Kar Baythay


  Category: Featured, Life & Society, Videos
  Topics: Nasheed, Pandemic
Views: 1045

Related Suggestions

 
COMMENTS DISCLAIMER & RULES OF ENGAGEMENT
The opinions expressed herein, through this post or comments, contain positions and viewpoints that are not necessarily those of IslamiCity. These are offered as a means for IslamiCity to stimulate dialogue and discussion in our continuing mission of being an educational organization. The IslamiCity site may occasionally contain copyrighted material the use of which may not always have been specifically authorized by the copyright owner. IslamiCity is making such material available in its effort to advance understanding of humanitarian, education, democracy, and social justice issues, etc. We believe this constitutes a 'fair use' of any such copyrighted material as provided for in section 107 of the US Copyright Law.


In accordance with Title 17 U.S.C. Section 107, and such (and all) material on this site is distributed without profit to those who have expressed a prior interest in receiving the included information for research and educational purposes.